bheega hua hai aanchal aankhon mein bhi nami hai | भीगा हुआ है आँचल आँखों में भी नमी है

  - Sabeela Inam Siddiqui

bheega hua hai aanchal aankhon mein bhi nami hai
faila hua hai kaajal aankhon mein bhi nami hai

barsega aaj khul kar bechain-o-muztarib hoon
chaaya hai gham ka baadal aankhon mein bhi nami hai

kaisi ajeeb haalat taari hui hai dil par
hoon muntazir musalsal aankhon mein bhi nami hai

muddat ke baad aaya duniyaa-e-dil mein koi
sehra hua hai jal-thal aankhon mein bhi nami hai

ye khud-supurdagi ka hai ik ajeeb aalam
khwaabon ka jaise jungle aankhon mein bhi nami hai

mehsoos ho raha hai ik jaal mein hoon kab se
ye ishq hai ki daldal aankhon mein bhi nami hai

ik harf-e-haq ke badle chadhte hain kitne sooli
shehr-e-wafa hai maqtal aankhon mein bhi nami hai

ik din sukhun ki malika ban jaayogi sabeela
phir aaj kyun ho be-kal aankhon mein bhi nami hai

भीगा हुआ है आँचल आँखों में भी नमी है
फैला हुआ है काजल आँखों में भी नमी है

बरसेगा आज खुल कर बेचैन-ओ-मुज़्तरिब हूँ
छाया है ग़म का बादल आँखों में भी नमी है

कैसी अजीब हालत तारी हुई है दिल पर
हूँ मुंतज़िर मुसलसल आँखों में भी नमी है

मुद्दत के बाद आया दुनिया-ए-दिल में कोई
सहरा हुआ है जल-थल आँखों में भी नमी है

ये ख़ुद-सुपुर्दगी का है इक अजीब आलम
ख़्वाबों का जैसे जंगल आँखों में भी नमी है

महसूस हो रहा है इक जाल में हूँ कब से
ये इश्क़ है कि दलदल आँखों में भी नमी है

इक हर्फ़-ए-हक़ के बदले चढ़ते हैं कितने सूली
शहर-ए-वफ़ा है मक़्तल आँखों में भी नमी है

इक दिन सुख़न की मलिका बन जाओगी 'सबीला'
फिर आज क्यूँ हो बे-कल आँखों में भी नमी है

  - Sabeela Inam Siddiqui

Ishq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sabeela Inam Siddiqui

As you were reading Shayari by Sabeela Inam Siddiqui

Similar Writers

our suggestion based on Sabeela Inam Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Ishq Shayari Shayari