dikhaai de to rahi hai bahut haseen mujh ko
magar milaaegi mitti mein ye zameen mujh ko
unhon ne sirf mera ek pahluu dekha hai
jo jaante hain vo pahchaante nahin mujh ko
agar theharta to shaayad kuchal diya jaata
kisi ne rukne ko aawaazen khoob deen mujh ko
vo haath bheed mein chhoota so us ke jaisa main
talash karta hoon shaayad mile yahin mujh ko
meri talash mein duniya padi hui hai dost
jo ho sake to chhupa de zara kahi mujh ko
दिखाई दे तो रही है बहुत हसीं मुझ को
मगर मिलाएगी मिट्टी में ये ज़मीं मुझ को
उन्हों ने सिर्फ़ मिरा एक पहलू देखा है
जो जानते हैं वो पहचानते नहीं मुझ को
अगर ठहरता तो शायद कुचल दिया जाता
किसी ने रुकने को आवाज़ें ख़ूब दीं मुझ को
वो हाथ भीड़ में छूटा सो उस के जैसा मैं
तलाश करता हूँ शायद मिले यहीं मुझ को
मिरी तलाश में दुनिया पड़ी हुई है दोस्त
जो हो सके तो छुपा दे ज़रा कहीं मुझ को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sabir Aafaque
our suggestion based on Sabir Aafaque
As you were reading Dost Shayari Shayari