apni gaagar se mat nikaal mujhe | अपनी गागर से मत निकाल मुझे

  - Sabir Aafaque

apni gaagar se mat nikaal mujhe
is samundar se mat nikaal mujhe

dil ke andar qiyaam hai mera
sirf baahar se mat nikaal mujhe

pyaar karti hai mujh se heroine
yaar picture se mat nikaal mujhe

gham ka moti hoon dil mein rehta hoon
gehre saagar se mat nikaal mujhe

main tire kaam ki khabar hoon magar
news paper se mat nikaal mujhe

koi goli nahin hoon kaanta hoon
nok-e-khanjar se mat nikaal mujhe

jhonpdi nahar ped aur panchi
aise manzar se mat nikaal mujhe

अपनी गागर से मत निकाल मुझे
इस समुंदर से मत निकाल मुझे

दिल के अंदर क़ियाम है मेरा
सिर्फ़ बाहर से मत निकाल मुझे

प्यार करती है मुझ से हीरोइन
यार पिक्चर से मत निकाल मुझे

ग़म का मोती हूँ दिल में रहता हूँ
गहरे सागर से मत निकाल मुझे

मैं तिरे काम की ख़बर हूँ मगर
न्यूज़ पेपर से मत निकाल मुझे

कोई गोली नहीं हूँ काँटा हूँ
नोक-ए-ख़ंजर से मत निकाल मुझे

झोंपड़ी नहर पेड़ और पंछी
ऐसे मंज़र से मत निकाल मुझे

  - Sabir Aafaque

Samundar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sabir Aafaque

As you were reading Shayari by Sabir Aafaque

Similar Writers

our suggestion based on Sabir Aafaque

Similar Moods

As you were reading Samundar Shayari Shayari