fal hai gar tu to main patthar hoon tiri qismat hai | फल है गर तू तो मैं पत्थर हूँ तिरी क़िस्मत है

  - Sabir Aafaque

fal hai gar tu to main patthar hoon tiri qismat hai
main agar tera muqaddar hoon tiri qismat hai

kuchh galat likh bhi liya hai to mita le us ko
main tire haath mein duster hoon tiri qismat hai

jaan ko jaan ghaneemat to ibadat kar le
jaan hoon jism ke andar hoon tiri qismat hai

barf raaton mein thithurne se to achha ye hai
odh le mujh ko main chadar hoon tiri qismat hai

tu hai pyaasa to koi fikr na kar yaar mere
shukr kar main bhi samundar hoon tiri qismat hai

mujh se ho kar to nikal aa zara duniya to dekh
chaar deewaari mein main dar hoon tiri qismat hai

pooch us shakhs se main jis ko nahin mil paaya
main tujhe jitna mayassar hoon tiri qismat hai

फल है गर तू तो मैं पत्थर हूँ तिरी क़िस्मत है
मैं अगर तेरा मुक़द्दर हूँ तिरी क़िस्मत है

कुछ ग़लत लिख भी लिया है तो मिटा ले उस को
मैं तिरे हाथ में डस्टर हूँ तिरी क़िस्मत है

जान को जान ग़नीमत तो इबादत कर ले
जान हूँ जिस्म के अंदर हूँ तिरी क़िस्मत है

बर्फ़ रातों में ठिठुरने से तो अच्छा ये है
ओढ़ ले मुझ को मैं चादर हूँ तिरी क़िस्मत है

तू है प्यासा तो कोई फ़िक्र न कर यार मिरे
शुक्र कर मैं भी समुंदर हूँ तिरी क़िस्मत है

मुझ से हो कर तो निकल आ ज़रा दुनिया तो देख
चार दीवारी में मैं दर हूँ तिरी क़िस्मत है

पूछ उस शख़्स से मैं जिस को नहीं मिल पाया
मैं तुझे जितना मयस्सर हूँ तिरी क़िस्मत है

  - Sabir Aafaque

Badan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sabir Aafaque

As you were reading Shayari by Sabir Aafaque

Similar Writers

our suggestion based on Sabir Aafaque

Similar Moods

As you were reading Badan Shayari Shayari