kya pata kya tha udhar aur kya na tha
qad mera deewaar se ooncha na tha
zehan murda jism be-his be-libaas
main ne vo dekha hai jo dekha na tha
bhaagta firta hoon apne-aap se
aisa bhi hoga kabhi socha na tha
malgaje bigde se chehre har taraf
zindagi pehle tujhe dekha na tha
masale kuchh likh gaya deewaar par
ek deewaana jo deewaana na tha
us ki laakhon mein yahi pehchaan thi
qabr par us ki koi kitaba na tha
jis ne jo maanga use vo de diya
ai khuda kya main tira banda na tha
क्या पता क्या था उधर और क्या न था
क़द मिरा दीवार से ऊँचा न था
ज़ेहन मुर्दा जिस्म बे-हिस बे-लिबास
मैं ने वो देखा है जो देखा न था
भागता फिरता हूँ अपने-आप से
ऐसा भी होगा कभी सोचा न था
मल्गजे बिगड़े से चेहरे हर तरफ़
ज़िंदगी पहले तुझे देखा न था
मसअले कुछ लिख गया दीवार पर
एक दीवाना जो दीवाना न था
उस की लाखों में यही पहचान थी
क़ब्र पर उस की कोई कतबा न था
जिस ने जो माँगा उसे वो दे दिया
ऐ ख़ुदा क्या मैं तिरा बंदा न था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sabir Adeeb
our suggestion based on Sabir Adeeb
As you were reading Khuda Shayari Shayari