kaisi ma'ni ki qaba rishton ko pahnaai gai | कैसी मअनी की क़बा रिश्तों को पहनाई गई

  - Sabir Adeeb

kaisi ma'ni ki qaba rishton ko pahnaai gai
ek hi lamhe mein barson ki shanaasaai gai

har dar-o-deewar par bachpan jawaani naqsh the
kab mere ghar se mere maazi ki daraai gai

is qadar unchi hui deewaar-e-nafrat har taraf
aaj har insaan se insaan ki paziraai gai

har naya din dhoop ki kirnon se tap kar aaye hai
jism se thandak gai aankhon se beenaai gai

ab kahaan vo mastiyaan sargoshiyaan gul-reziyaan
daaman-e-sehra se jo aati thi purwaai gai

waqt ki sougaat hai na ham hain ham na tum ho tum
zehan se sochen gaeein honton se sacchaai gai

aaj phir hai hukmraani teergi ki har taraf
raushni ik pal ko saabir aayi aur aayi gai

कैसी मअनी की क़बा रिश्तों को पहनाई गई
एक ही लम्हे में बरसों की शनासाई गई

हर दर-ओ-दीवार पर बचपन जवानी नक़्श थे
कब मिरे घर से मिरे माज़ी की दाराई गई

इस क़दर ऊँची हुई दीवार-ए-नफ़रत हर तरफ़
आज हर इंसाँ से इंसाँ की पज़ीराई गई

हर नया दिन धूप की किरनों से तप कर आए है
जिस्म से ठंडक गई आँखों से बीनाई गई

अब कहाँ वो मस्तियाँ सरगोशियाँ गुल-रेज़ियाँ
दामन-ए-सहरा से जो आती थी पुरवाई गई

वक़्त की सौग़ात है न हम हैं हम न तुम हो तुम
ज़ेहन से सोचें गईं होंटों से सच्चाई गई

आज फिर है हुक्मरानी तीरगी की हर तरफ़
रौशनी इक पल को 'साबिर' आई और आई गई

  - Sabir Adeeb

Insaan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sabir Adeeb

As you were reading Shayari by Sabir Adeeb

Similar Writers

our suggestion based on Sabir Adeeb

Similar Moods

As you were reading Insaan Shayari Shayari