mujh se pehle mere vateere dekh | मुझ से पहले मिरे वतीरे देख

  - Sabir Adeeb

mujh se pehle mere vateere dekh
jism hai ek chehre kitne dekh

sabz mausam bhi kya hamein dega
tootte girte sabz patte dekh

be-amaan shehar mein amaan kab tak
roop dhaare khade hain fitne dekh

qurbaton chaahaton ke qisse fuzool
zakham kitne lage hain gehre dekh

ab ye behtar hai dhoop hi odhen
door tak ped hain na saaye dekh

main akela hoon tu bhi tanhaa hai
ham bhi kitne hain be-sahaare dekh

aaine pee liye hain chehron ne
ab tu har samt sirf chehre dekh

मुझ से पहले मिरे वतीरे देख
जिस्म है एक चेहरे कितने देख

सब्ज़ मौसम भी क्या हमें देगा
टूटते गिरते सब्ज़ पत्ते देख

बे-अमाँ शहर में अमाँ कब तक
रूप धारे खड़े हैं फ़ित्ने देख

क़ुर्बतों चाहतों के क़िस्से फ़ुज़ूल
ज़ख़्म कितने लगे हैं गहरे देख

अब ये बेहतर है धूप ही ओढें
दूर तक पेड़ हैं न साए देख

मैं अकेला हूँ तू भी तन्हा है
हम भी कितने हैं बे-सहारे देख

आईने पी लिए हैं चेहरों ने
अब तू हर सम्त सिर्फ़ चेहरे देख

  - Sabir Adeeb

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sabir Adeeb

As you were reading Shayari by Sabir Adeeb

Similar Writers

our suggestion based on Sabir Adeeb

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari