tujhe talash hai jis ki guzar gaya kab ka | तुझे तलाश है जिस की गुज़र गया कब का

  - Sabir Adeeb

tujhe talash hai jis ki guzar gaya kab ka
mere vujood mein vo shakhs mar gaya kab ka

jo mujh mein rah ke mujhe aaina dikhaata tha
mere badan se vo chehra utar gaya kab ka

tilism toot gaya shab ka main bhi ghar ko chaloon
ruka tha jis ke liye vo bhi ghar gaya kab ka

tujhe jo faisla dena hai de bhi munsif-e-waqt
vo mujh pe saare hi ilzaam dhar gaya kab ka

na jaane kaun sa pal toot kar bikhar jaaye
hamaare sabr ka kashkol bhar gaya kab ka

तुझे तलाश है जिस की गुज़र गया कब का
मिरे वजूद में वो शख़्स मर गया कब का

जो मुझ में रह के मुझे आईना दिखाता था
मिरे बदन से वो चेहरा उतर गया कब का

तिलिस्म टूट गया शब का मैं भी घर को चलूँ
रुका था जिस के लिए वो भी घर गया कब का

तुझे जो फ़ैसला देना है दे भी मुंसिफ़-ए-वक़्त
वो मुझ पे सारे ही इल्ज़ाम धर गया कब का

न जाने कौन सा पल टूट कर बिखर जाए
हमारे सब्र का कश्कोल भर गया कब का

  - Sabir Adeeb

DP Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sabir Adeeb

As you were reading Shayari by Sabir Adeeb

Similar Writers

our suggestion based on Sabir Adeeb

Similar Moods

As you were reading DP Shayari Shayari