aur dil ko dukha nahin sakte
roz aansu baha nahin sakte
ek hi haadsa mujhe kaafi
umr bhar muskuraa nahin sakte
bhool sakte nahin kabhi tumko
mas'ala hai bata nahin sakte
qabr roti rahi isee khaatir
vo gale ab laga nahin sakte
ek unko bacha liya hamne
dost khud ko bacha nahin sakte
jism hai phir raha use lekar
aag khud ko laga nahin sakte
dekh legi kahi mera chehra
aankh mein gham dikha nahin sakte
khaak hi khaak hai bachi mujhmein
khaak ka ghar bana nahin sakte
khaak zinda dili rahi apni
ek aurat hansa nahin sakte
mas'ala hai yahi tira saagar
chaah kar bhi jala nahin sakte
और दिल को दुखा नहीं सकते
रोज़ आँसू बहा नहीं सकते
एक ही हादसा मुझे काफ़ी
उम्र भर मुस्कुरा नहीं सकते
भूल सकते नहीं कभी तुमको
मसअला है बता नहीं सकते
क़ब्र रोती रही इसी ख़ातिर
वो गले अब लगा नहीं सकते
एक उनको बचा लिया हमने
दोस्त ख़ुद को बचा नहीं सकते
जिस्म है फिर रहा उसे लेकर
आग ख़ुद को लगा नहीं सकते
देख लेगी कहीं मिरा चेहरा
आँख में ग़म दिखा नहीं सकते
ख़ाक ही ख़ाक है बची मुझमें
ख़ाक का घर बना नहीं सकते
ख़ाक ज़िंदा दिली रही अपनी
एक औरत हँसा नहीं सकते
मसअला है यही तिरा सागर
चाह कर भी जला नहीं सकते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni
our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni
As you were reading Udas Shayari Shayari