har shakhs meri baat se anjaan bahut hai
is baar mitaane ko ye toofaan bahut hai
ham jaise parindon ko mu'yassar na hua ghar
ham jaise parindon ko ye zindaan bahut hai
do raat se soya hi nahin hoon ke main darpaish
kisko main kahoon dil ye pareshaan bahut hai
chautis kii ye umr bahattar kii lage hai
kitne main kahoon ishq ke nuksaan bahut hai
har baar mujhe maut se laata hai bacha kar
sheeshe mein khade shakhs ka ehsaan bahut hai
हर शख़्स मिरी बात से अंजान बहुत है
इस बार मिटाने को ये तूफ़ान बहुत है
हम जैसे परिंदों को मुयस्सर न हुआ घर
हम जैसे परिंदों को ये ज़िंदान बहुत है
दो रात से सोया ही नहीं हूँ के मैं दरपेश
किसको मैं कहूँ दिल ये परेशान बहुत है
चौतीस की ये उम्र बहत्तर की लगे है
कितने मैं कहूँ इश्क़ के नुक़सान बहुत है
हर बार मुझे मौत से लाता है बचा कर
शीशे में खड़े शख़्स का एहसान बहुत है
As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni
our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni
As you were reading undefined Shayari