yaad hai kisko kahaani sarhadon ki | याद है किसको कहानी सरहदों की

  - Sagar Sahab Badayuni

yaad hai kisko kahaani sarhadon ki
raakh qurbaani hui hai dil jalon ki

kaat dale hai sabhi jungle kisi ne
kab sooni cheekhen kisi ne junglon ki

tum lagao sirf mujhpe hi nishaana
hon daleelen khatm saare masailon ki

isliye bhi vo kabhi ladta nahin hai
hai use maaloom aadat sarfiron ki

zindagi mujh pe kahaani likh rahi hai
hai zaroorat dost mujhko mashwaron ki

bhool kar bhi ishq ham se ho na jaaye
zindagi achhi nahin ham shaairon ki

याद है किसको कहानी सरहदों की
राख़ क़ुर्बानी हुई है दिल जलों की

काट डाले है सभी जंगल किसी ने
कब सुनी चीखें किसी ने जंगलों की

तुम लगाओ सिर्फ़ मुझपे ही निशाना
हों दलीलें ख़त्म सारे मसअलों की

इसलिए भी वो कभी लड़ता नहीं है
है उसे मालूम आदत सरफिरों की

ज़िंदगी मुझ पे कहानी लिख रही है
है ज़रूरत दोस्त मुझको मशवरों की

भूल कर भी इश्क़ हम से हो न जाए
ज़िंदगी अच्छी नहीं हम शाइरों की

  - Sagar Sahab Badayuni

Ishq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sagar Sahab Badayuni

As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni

Similar Moods

As you were reading Ishq Shayari Shayari