raat mere khwaab mein thi aaj mujhko vo mili
teergi mein ik haseen mahtaab si jo thi khili
aaj dekha hai use maine libaas-e-eid mein
aaj mujh kaafir ko bhi hai eed ki eidi mili
uski chaukhat ko naman kar ke main jab se aaya hoon
dekh kar hairaan hain meri sabhi zinda dili
jaan par apni bani to log chillane lage
kal tamasha dekhte the sab zabaanen theen sili
nonch daala hai use phir se kisi haiwaan ne
ik sugam sundar kali jo taza-taza thi khili
raam jee bhi mugdh ho kar gaaliyaan sunte rahe
itni meethi itni paawan hai hamaari maithili
raat jaage se tujhe kya mil gaya saagar bata
ye ghazal ke chand misre duniya bhar ki be-dili
रात मेरे ख़्वाब में थी आज मुझको वो मिली
तीरगी में इक हसीं महताब सी जो थी खिली
आज देखा है उसे मैंने लिबास-ए-ईद में
आज मुझ काफ़िर को भी है ईद की ईदी मिली
उसकी चौखट को नमन कर के मैं जब से आया हूँ
देख कर हैरान हैं मेरी सभी ज़िंदा दिली
जान पर अपनी बनी तो लोग चिल्लाने लगे
कल तमाशा देखते थे ,सब ज़बानें थीं सिली
नोंच डाला है उसे फिर से किसी हैवान ने
इक सुगम सुंदर कली जो ताज़ा-ताज़ा थी खिली
राम जी भी मुग्ध हो कर गालियाँ सुनते रहे
इतनी मीठी इतनी पावन है हमारी मैथिली
रात जागे से तुझे क्या मिल गया 'सागर' बता
ये ग़ज़ल के चंद मिसरे, दुनिया भर की बे-दिली
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sagar Kaushik
our suggestion based on Sagar Kaushik
As you were reading Raat Shayari Shayari