had se guzar gai hain khataayein to kya karein
aise mein unse door na jaayen to kya karein
uski ana ne saare muqaddam mita diye
us be-wafa ko bhool na jaayen to kya karein
meena bhi tu hai may bhi tu saaqi bhi jaam bhi
aankhon mein teri doob na jaayen to kya karein
kashti ko doobne se bachaaya bahut magar
ho jaayen gar khilaaf hawaaein to kya karein
khushiyon ka intzaar raza muddaton se hai
peecha agar na chhoden balaaen to kya karein
हद से गुज़र गई हैं ख़ताएँ तो क्या करें
ऐसे में उनसे दूर न जाएँ तो क्या करें
उसकी अना ने सारे तअल्लुक़ मिटा दिए
उस बे-वफ़ा को भूल न जाएँ तो क्या करें
मीना भी तू है मय भी तू साक़ी भी जाम भी
आँखों में तेरी डूब न जाएँ तो क्या करें
कश्ती को डूबने से बचाया बहुत मगर
हो जाएँ गर ख़िलाफ़ हवाएँ तो क्या करें
ख़ुशियों का इंतज़ार रज़ा मुद्दतों से है
पीछा अगर न छोड़ें बलाएँ तो क्या करें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by SALIM RAZA REWA
our suggestion based on SALIM RAZA REWA
As you were reading Kashti Shayari Shayari