aane ko aa gaye sabhi par vo khuda nahin | आने को आ गए सभी पर वो ख़ुदा नहीं

  - Satyam tripathi

aane ko aa gaye sabhi par vo khuda nahin
yaani ki sirf jism mila aatma nahin

nadiyon ka phail jaana to hai laazmi magar
nadiyon ke sookhne mein kisi ka bhala nahin

pehle tu jaan le mujhe phir chalna saath mein
dharti ka bojh hoon main koii rehnuma nahin

main khud kushi kii baat par itna kahunga dost
bujhta hua diya hai ye jalta diya nahin

mujhse milo to hans ke milo jhuk ke nahin dost
main aam aadmi hoon koii devta nahin

आने को आ गए सभी पर वो ख़ुदा नहीं
यानी कि सिर्फ़ जिस्म मिला आत्मा नहीं

नदियों का फैल जाना तो है लाज़मी मगर
नदियों के सूखने में किसी का भला नहीं

पहले तू जान ले मुझे फिर चलना साथ में
धरती का बोझ हूँ मैं कोई रहनुमा नहीं

मैं ख़ुद कुशी की बात पर इतना कहूँगा दोस्त
बुझता हुआ दिया है ये जलता दिया नहीं

मुझसे मिलो तो हँस के मिलो झुक के नहीं दोस्त
मैं आम आदमी हूँ कोई देवता नहीं

  - Satyam tripathi

Mehboob Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Satyam tripathi

Similar Moods

As you were reading Mehboob Shayari Shayari