wafaadaaro'n pe aafat aa rahi hai | वफ़ादारों पे आफ़त आ रही है

  - Shakeel Jamali

wafaadaaro'n pe aafat aa rahi hai
miyaan le lo jo qeemat aa rahi hai

main us se itne wa'de kar chuka hoon
mujhe is baar ghairat aa rahi hai

na jaane mujh mein kya dekha hai us ne
mujhe us par mohabbat aa rahi hai

badalta ja raha hai jhooth sach mein
kahaani mein sadaqat aa rahi hai

mera jhagda zamaane se nahin hai
mere aadhe mohabbat aa rahi hai

abhi raushan hua jaata hai rasta
vo dekho ek aurat aa rahi hai

mujhe us ki udaasi ne bataaya
bichhad jaane ki sa'at aa rahi hai

badon ke darmiyaan baitha hua hoon
naseehat par naseehat aa rahi hai

वफ़ादारों पे आफ़त आ रही है
मियाँ ले लो जो क़ीमत आ रही है

मैं उस से इतने वा'दे कर चुका हूँ
मुझे इस बार ग़ैरत आ रही है

न जाने मुझ में क्या देखा है उस ने
मुझे उस पर मोहब्बत आ रही है

बदलता जा रहा है झूट सच में
कहानी में सदाक़त आ रही है

मिरा झगड़ा ज़माने से नहीं है
मिरे आड़े मोहब्बत आ रही है

अभी रौशन हुआ जाता है रस्ता
वो देखो एक औरत आ रही है

मुझे उस की उदासी ने बताया
बिछड़ जाने की साअ'त आ रही है

बड़ों के दरमियाँ बैठा हुआ हूँ
नसीहत पर नसीहत आ रही है

  - Shakeel Jamali

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shakeel Jamali

As you were reading Shayari by Shakeel Jamali

Similar Writers

our suggestion based on Shakeel Jamali

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari