labon pe jhoothi hasi aur chashm-e-nam dekha | लबों पे झूठी हँसी और चश्म-ए-नम देखा

  - Aman Kumar Shaw "Haif"

labon pe jhoothi hasi aur chashm-e-nam dekha
har ek shakhs ki aankhon mein hamne gham dekha

sharaab pee jo kabhi hadd-e-maykashi kar di
na chaal dekhi yahan aur na phir kadam dekha

taveel shab ka safar aur paanv ki ye thakan
sawaar neend nigaahon pe thi so kam dekha

lab-e-azez se jo tishnagi hui haasil
tamaam sehra pe us pyaas ko raqam dekha

nazaare laakhon the duniya mein dekhne ke liye
bas ek marz ki tujhko hi dam b dam dekha

junoon-e-ishq fitoor-e-wafa ya kuchh bhi kaho
tabaah khud ko kiya kab tera sitam dekha

naseeb jisko masarrat hui vo apni kahe
ki ta hayaat yahan hamne bas alam dekha

khuda ke khauf se dekha hai sar ko jhukte bhi
khuda ke naam pe bhi hamne yaa bharam dekha

tamaam umr guzaari hai jiski sohbat mein
usi ka kehna ki hamne use hai kam dekha

jahaan mein the manaazir hazaar dekhne ko
ye ranj haif ne bas ek apna gham dekha

लबों पे झूठी हँसी और चश्म-ए-नम देखा
हर एक शख़्स की आँखों में हमने ग़म देखा

शराब पी जो कभी हद्द-ए-मयकशी कर दी
न चाल देखी यहाँ और न फिर कदम देखा

तवील शब का सफ़र और पाँव की ये थकन
सवार नींद निगाहों पे थी सो कम देखा

लब-ए-अज़ीज़ से जो तिश्नगी हुई हासिल
तमाम सहरा पे उस प्यास को रक़म देखा

नज़ारे लाखों थे दुनिया में देखने के लिए
बस एक मर्ज़ कि तुझको ही दम ब दम देखा

जुनून-ए-इश्क़ फ़ितूर-ए-वफ़ा या कुछ भी कहो
तबाह ख़ुद को किया कब तेरा सितम देखा

नसीब जिसको मसर्रत हुई वो अपनी कहे
कि ता हयात यहाँ हमने बस अलम देखा

ख़ुदा के ख़ौफ़ से देखा है सर को झुकते भी
ख़ुदा के नाम पे भी हमने याँ भरम देखा

तमाम उम्र गुज़ारी है जिसकी सोहबत में
उसी का कहना कि हमने उसे है कम देखा

जहान में थे मनाज़िर हज़ार देखने को
ये रंज "हैफ़" ने बस एक अपना ग़म देखा

  - Aman Kumar Shaw "Haif"

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aman Kumar Shaw "Haif"

As you were reading Shayari by Aman Kumar Shaw "Haif"

Similar Writers

our suggestion based on Aman Kumar Shaw "Haif"

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari