phir se vo hi kisse hain phir wahi kahaani hai | फिर से वो ही किस्से हैं फिर वही कहानी है - Aman Kumar Shaw "Haif"

phir se vo hi kisse hain phir wahi kahaani hai
phir se vo hi ranj-o-gham phir wahi tabaahi hai

khaak phir udaayenge bekhudi mein sehra ki
dil mein uski yaadon ka phir se raqs zaari hai

zindagi guzaar aaye karz bhi utaar aaye
mujhse ab na poocho ke kis kadar guzaari hai

khuld ke tasavvur se dil dahal sa jaata hai
is kadar jahannam se meri aashnaai hai

ta abad silaasil heen paanv ka muqaddar tha
paanv ko badhaate heen munh ki chot khaayi hai

baad-e-dafan bhi mujhko ranj ye sataayega
zindagi ko kis fan se maine yaa gavaayi hai

haajat ae biyaabaan bhi laazmi nahin usko
muddaton se ghar jiska aadmi se khaali hai

lab-kushaai mein jokhim beshumaar hain yaaron
khaamoshi se gham jhelo isme hi bhalaai hai

aur to nahin kuch bhi mere ghar mein paoge
kuch hain gham ke saamaan aur ek do rubaai hai

ab na ye juda honge jism-o jaan se saari umr
khatm in ghamon ki ab mujhpe hi rasai hai

tum bhi kab zaroori the main bhi kab zaroori tha
dekh lo firaq apna iski hi gawaahi hai

haif ka muqaddar bhi haif kya muqaddar hai
haadse hain gham hai aur dukh ki bas kahaani hai

haadson ne kis darja haif ko badal daala
zehn-o dil hua boodha jism pe jawaani hai

फिर से वो ही किस्से हैं फिर वही कहानी है
फिर से वो ही रंज-ओ-ग़म फिर वही तबाही है

ख़ाक फिर उड़ायेंगे बेख़ुदी में सहरा की
दिल में उसकी यादों का फिर से रक़्स ज़ारी है

ज़िन्दगी गुज़ार आए कर्ज़ भी उतार आए
मुझसे अब न पूछो के किस कदर गुज़ारी है

ख़ुल्द के तसव्वुर से दिल दहल सा जाता है
इस कदर जहन्नम से मेरी आश्नाई है

ता अबद सलासिल हीं पाँव का मुक़द्दर था
पाँव को बढ़ाते हीं मुँह की चोट खायी है

बाद-ए-दफ़्न भी मुझको रंज ये सताएगा
ज़िंदगी को किस फ़न से मैने याँ गवायी है

हाजत ए बयाबाँ भी लाज़मी नहीं उसको
मुद्दतों से घर जिसका आदमी से खाली है

लब-कुशाई में जोखिम बेशुमार हैं यारों
ख़ामुशी से ग़म झेलो इसमे ही भलाई है

और तो नहीं कुछ भी मेरे घर में पाओगे
कुछ हैं ग़म के सामां और एक दो रुबाई है

अब न ये जुदा होंगे जिस्म-ओ- जां से सारी उम्र
ख़त्म इन ग़मों की अब मुझपे ही रसाई है

तुम भी कब ज़रूरी थे मैं भी कब ज़रूरी था
देख लो फ़िराक़ अपना इसकी ही गवाही है

"हैफ़" का मुकद्दर भी "हैफ़" क्या मुकद्दर है
हादसे हैं ग़म है और दुख की बस कहानी है

हादसों ने किस दर्जा "हैफ़" को बदल डाला
ज़हन-ओ- दिल हुआ बूढ़ा जिस्म पे जवानी है

- Aman Kumar Shaw "Haif"
1 Like

Bahana Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aman Kumar Shaw "Haif"

As you were reading Shayari by Aman Kumar Shaw "Haif"

Similar Writers

our suggestion based on Aman Kumar Shaw "Haif"

Similar Moods

As you were reading Bahana Shayari Shayari