naqsh-e rah-e visaal mitaata hoon aaj tak | नक़्श-ए- रह-ए विसाल मिटाता हूँ आज तक

  - Aman Kumar Shaw "Haif"

naqsh-e rah-e visaal mitaata hoon aaj tak
khud ko magar usi ka main paata hoon aaj tak

tarteeb se rakho na mujhe tum kitaab mein
bikhra hua hi main use bhaata hoon aaj tak

uski gali ne hi meri looti hai zindagi
uski gali ki khaak udaata hoon aaj tak

aah-o fughan-e dard-e jigar ranj-e zindagi
insey hi apna pet chalaata hoon aaj tak

us raahguzaar ki maut to kabki hi ho chuki
har shaam phir kidhar ko main jaata hoon aaj tak

shams-e ghuroob dekh ke yaad apni aati hai
har shaam ik charaagh bujhaata hoon aaj tak

jin hothon ke naseeb mein tha tujhko choomna
unse gham-e hayaat sunaata hoon aaj tak

har shaam unki deed ki hasrat si hoti hai
har shaam ik charaagh jalata hoon aaj tak

andhe tamaasbeeno pe karta bhi kya yakeen
khud se hi aag ghar ki bujhaata hoon aaj tak

kuchh daagh dil mein haif ke aabaad hain abhi
bazm-e hayaat jinse sajaata hoon aaj tak

नक़्श-ए- रह-ए विसाल मिटाता हूँ आज तक
ख़ुद को मगर उसी का मैं पाता हूँ आज तक

तरतीब से रखो न मुझे तुम किताब में
बिखरा हुआ ही मैं उसे भाता हूँ आज तक

उसकी गली ने ही मेरी लूटी है ज़िन्दगी
उसकी गली की ख़ाक उड़ाता हूँ आज तक

आह-ओ- फ़ुग़ान-ए- दर्द-ए- जिगर रंज-ए- ज़िन्दगी
इनसे ही अपना पेट चलाता हूँ आज तक

उस रहगुज़र की मौत तो कबकी ही हो चुकी
हर शाम फिर किधर को मैं जाता हूँ आज तक

शम्स-ए- ग़ुरूब देख के याद अपनी आती है
हर शाम इक चराग़ बुझाता हूँ आज तक

जिन होठों के नसीब में था तुझको चूमना
उनसे ग़म-ए- हयात सुनाता हूँ आज तक

हर शाम उनकी दीद की हसरत सी होती है
हर शाम इक चराग़ जलाता हूँ आज तक

अंधे तमाशबीनों पे करता भी क्या यकीं
ख़ुद से ही आग घर की बुझाता हूँ आज तक

कुछ दाग़ दिल में "हैफ़" के आबाद हैं अभी
बज़्म-ए- हयात जिनसे सजाता हूँ आज तक

  - Aman Kumar Shaw "Haif"

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aman Kumar Shaw "Haif"

As you were reading Shayari by Aman Kumar Shaw "Haif"

Similar Writers

our suggestion based on Aman Kumar Shaw "Haif"

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari