maana ki koi haq nahin daava nahin mera
kaise kahoon magar ki vo dariya nahin mera
hogi kahaani aur hi tumne thi jo sooni
tha itna mukhtasar kabhi kissa nahin mera
ik adhjala sa khwaab hai ik hai taveel raat
sarmaaya-e-hayaat ziyaada nahin mera
vo apne saath le gaya kya mera ye badan
kyun aaine mein aks ubharta nahin mera
saare ghamon ko saunp ke pa leta main najaat
hamshakl par yahan koi milta nahin mera
zakhamon pe abki baar ye kaisi bahaar hai
raaz-e udaasi uspe bhi khulta nahin mera
umren laga deen khud ko banaane mein la ilaaj
zakhamon ka ho sake p mudaava nahin mera
tabdeeliyon se aaj bhi lagta hai dar use
muddat se usne haal bhi badla nahin mera
daanista bazm-e duniya mein bheja gaya mujhe
tha aisa koi bhi to iraada nahin mera
laakar kahaan se doon tujhe pehle sa haif ko
ab to jigar ka khoon bhi taaza nahin mera
माना कि कोई हक़ नहीं दावा नहीं मेरा
कैसे कहूँ मगर कि वो दरिया नहीं मेरा
होगी कहानी और ही तुमने थी जो सुनी
था इतना मुख़्तसर कभी किस्सा नहीं मेरा
इक अधजला सा ख़्वाब है इक है तवील रात
सरमाया-ए-हयात ज़्यादा नहीं मेरा
वो अपने साथ ले गया क्या मेरा ये बदन
क्यूँ आइने में अक्स उभरता नहीं मेरा
सारे ग़मों को सौंप के पा लेता मैं नजात
हमशक्ल पर यहाँ कोई मिलता नहीं मेरा
ज़ख़्मों पे अबकी बार ये कैसी बहार है
राज़-ए- उदासी उसपे भी खुलता नहीं मेरा
उम्रें लगा दीं ख़ुद को बनाने में ला इलाज
ज़ख़्मों का हो सके प मुदावा नहीं मेरा
तब्दीलियों से आज भी लगता है डर उसे
मुद्दत से उसने हाल भी बदला नहीं मेरा
दानिस्ता बज़्म-ए- दुनिया में भेजा गया मुझे
था ऐसा कोई भी तो इरादा नहीं मेरा
लाकर कहाँ से दूं तुझे पहले सा "हैफ़" को
अब तो जिगर का ख़ून भी ताज़ा नहीं मेरा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aman Kumar Shaw "Haif"
our suggestion based on Aman Kumar Shaw "Haif"
As you were reading Dariya Shayari Shayari