zaar zaar roye hain baar baar roye hain | ज़ार ज़ार रोये हैं बार बार रोये हैं

  - Aman Kumar Shaw "Haif"

zaar zaar roye hain baar baar roye hain
zindagi teri khaatir beshumaar roye hain

bheed ghamgusaaron ki sahilon pe thi sach hai
jo the doobne waale zaar zaar roye hain

ashk baari gin gin ke ishq mein nahin laazim
hamse ye na poocho ke kitni baar roye hain

hosh mein rakha hamne hontho pe tabassum par
maykada gaye jab bhi pur khumaar roye hain

chain kab pada hamko is jahaan mein aakar
ham azal se aakhir tak beqaraar roye hain

theek waqt pe hamko rona bhi nahin aaya
poori zindagi ham to be-bahaar roye hain

paak raahon pe chalkar ye sila mila hamko
saaf jism tha lekin daagdaar roye hain

kuchh sila muhabbat ka haif ko bhi dete tum
rukhsati ae jaanaan pe ham bhi yaar roye hain

ज़ार ज़ार रोये हैं बार बार रोये हैं
ज़िन्दगी तेरी ख़ातिर बेशुमार रोये हैं

भीड़ ग़मगुसारों की साहिलों पे थी, सच है
जो थे डूबने वाले ज़ार ज़ार रोये हैं

अश्क- बारी गिन गिन के इश्क़ में नहीं लाज़िम
हमसे ये न पूछो के कितनी बार रोये हैं

होश में रखा हमने होंठो पे तबस्सुम पर
मयकदा गये जब भी पुर ख़ुमार रोये हैं

चैन कब पड़ा हमको इस जहान में आकर
हम अज़ल से आख़िर तक बेक़रार रोये हैं

ठीक वक़्त पे हमको रोना भी नहीं आया
पूरी ज़िन्दगी हम तो बे-बहार रोये हैं

पाक राहों पे चलकर ये सिला मिला हमको
साफ़ जिस्म था लेकिन दाग़दार रोये हैं

कुछ सिला मुहब्बत का 'हैफ़' को भी देते तुम
रुख़सती ए जानां पे हम भी यार रोये हैं

  - Aman Kumar Shaw "Haif"

Khushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aman Kumar Shaw "Haif"

As you were reading Shayari by Aman Kumar Shaw "Haif"

Similar Writers

our suggestion based on Aman Kumar Shaw "Haif"

Similar Moods

As you were reading Khushi Shayari Shayari