vo khushboo bhi ab is chaman mein nahin hai | वो ख़ुशबू भी अब इस चमन में नहीं है

  - Shivam Rathore

vo khushboo bhi ab is chaman mein nahin hai
jo tu mere dil ke bhawan mein nahin hai

chhuan ki jo sheetalta tujhse mili thi
kahi ab vo bahti pavan mein nahin hai

kise dekh kar ham samarpan karenge
vo jaadu kisi ke nayan mein nahin hai

kami titliyon ne nikaali hai aisi
tire jaisa ras ab suman mein nahin hai

tumhaare suron si madhurtaa kahaan hai
lage jaise koel hi zakan mein nahin hai

dikhe tere bheetar hi saaton ajoobe
so chaahat koi aur man mein nahin hai

वो ख़ुशबू भी अब इस चमन में नहीं है
जो तू मेरे दिल के भवन में नहीं है

छुअन की जो शीतलता तुझसे मिली थी
कहीं अब वो बहती पवन में नहीं है

किसे देख कर हम समर्पण करेंगे
वो जादू किसी के नयन में नहीं है

कमी तितलियों ने निकाली है ऐसी
तिरे जैसा रस अब सुमन में नहीं है

तुम्हारे सुरों सी मधुरता कहाँ है
लगे जैसे कोयल ही वन में नहीं है

दिखें तेरे भीतर ही सातों अजूबे
सो चाहत कोई और मन में नहीं है

  - Shivam Rathore

Aarzoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shivam Rathore

As you were reading Shayari by Shivam Rathore

Similar Writers

our suggestion based on Shivam Rathore

Similar Moods

As you were reading Aarzoo Shayari Shayari