zakhm bhar jaayega ik din koii mujh se kah gaya
main isi ummeed par har haadse ko sah gaya
jism le kar hi gaya hai vo jahaan bhi hai abhi
dil to us ka yaa mere seene ke andar rah gaya
mere sapne mere apne kho gaye mujh se kahin
tera ghar tujh ko mubarak mera ghar to dhah gaya
tu agar aage badha to aage hi bas dekhna
dhoondhna mat sochna mat main kahaan par rah gaya
doob mar ja bhaaḍ mein ja maut aa jaaye tujhe
ek din nibhaiye mein mujh se kitna kuchh vo kah gaya
aur dukh hota mujhe tujh par guzarta koii dukh
aur dukh main sah raha tha aur dukh bhi sah gaya
ज़ख़्म भर जाएगा इक दिन कोई मुझ से कह गया
मैं इसी उम्मीद पर हर हादसे को सह गया
जिस्म ले कर ही गया है वो जहाँ भी है अभी
दिल तो उस का याँ मिरे सीने के अंदर रह गया
मेरे सपने मेरे अपने खो गए मुझ से कहीं
तेरा घर तुझ को मुबारक मेरा घर तो ढह गया
तू अगर आगे बढ़ा तो आगे ही बस देखना
ढूँढना मत सोचना मत मैं कहाँ पर रह गया
डूब मर जा भाड़ में जा मौत आ जाए तुझे
एक दिन ग़ुस्से में मुझ से कितना कुछ वो कह गया
और दुख होता मुझे तुझ पर गुज़रता कोई दुख
और दुख मैं सह रहा था और दुख भी सह गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sohil Barelvi
our suggestion based on Sohil Barelvi
As you were reading Zakhm Shayari Shayari