aakhiri raasta bataati hain
rail kii patriyaan bulaati hain
ek anhoni saath chalti hai
band aankhen bhi bheeg jaati hain
kitna aasaan hota mar jaana
kyun nahin laashein doob jaati hain
umr bhar saath kii sabhi qasmen
beech raste mein toot jaati hain
आख़िरी रास्ता बताती हैं
रेल की पटरियाँ बुलाती हैं
एक अनहोनी साथ चलती है
बंद आँखें भी भीग जाती हैं
कितना आसान होता मर जाना
क्यों नहीं लाशें डूब जाती हैं
उम्र भर साथ की सभी क़समें
बीच रस्ते में टूट जाती हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Suraj Trivedi Raghunandan
our suggestion based on Suraj Trivedi Raghunandan
As you were reading Budhapa Shayari Shayari