dhoop ke bheetar chhup kar nikli | धूप के भीतर छुप कर निकली

  - Swapnil Tiwari

dhoop ke bheetar chhup kar nikli
taarikee saayo bhar nikli

raat giri thi ik gadhhe mein
shaam ka haath pakad kar nikli

roya us se mil kar roya
chaahat bhes badal kar nikli

phool to phoolon sa hona tha
titli kaisi patthar nikli

soot hain ghar ke har kone mein
makdi poori bun kar nikli

taaza-dam hone ko udaasi
le kar gham ka shaavar nikli

jaan nikli us ke pahluu mein
vo hi mera maghar nikli

hijr ki shab se ghabraate the
yaar yahi shab behtar nikli

jab bhi chor mere ghar aaye
ek hasi hi zewar nikli

aatish kundan rooh mili hai
umr ki aag mein jal kar nikli

धूप के भीतर छुप कर निकली
तारीकी सायों भर निकली

रात गिरी थी इक गढ्ढे में
शाम का हाथ पकड़ कर निकली

रोया उस से मिल कर रोया
चाहत भेस बदल कर निकली

फूल तो फूलों सा होना था
तितली कैसी पत्थर निकली

सूत हैं घर के हर कोने में
मकड़ी पूरी बुन कर निकली

ताज़ा-दम होने को उदासी
ले कर ग़म का शावर निकली

जाँ निकली उस के पहलू में
वो ही मेरा मगहर निकली

हिज्र की शब से घबराते थे
यार यही शब बेहतर निकली

जब भी चोर मिरे घर आए
एक हँसी ही ज़ेवर निकली

'आतिश' कुंदन रूह मिली है
उम्र की आग में जल कर निकली

  - Swapnil Tiwari

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Swapnil Tiwari

As you were reading Shayari by Swapnil Tiwari

Similar Writers

our suggestion based on Swapnil Tiwari

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari