vo ek shab thi safed gulaabon waale taalaab ke bilkul nazdeek | वो एक शब थी सफ़ेद गुलाबों वाले तालाब के बिल्कुल नज़दीक

  - Tabassum Kashmiri

vo ek shab thi safed gulaabon waale taalaab ke bilkul nazdeek
baadlon ki pehli aahat par
us ne rakh diye hont honton par
mauseeqi ki titli geet gaane lagi
us ke saanson ke aas-paas
us ki khushbuon ke ghunghroo
baj rahe the us shab
hua ki safed gulaabi chhato par
vo umad rahi thi
ek tez samundari lehar ki tarah
vo jism par naqsh ho rahi thi
titliyon se bhare hue ek khwaab ki tarah

vo ek shab safed gulaabon waale taalaab ke bilkul nazdeek
shab-bhar baadlon ki halki aur tez aahaten
aur shab-bhar
hont honton par
saans saanson par
aur jism jism ki safed gulaabi chhato par

वो एक शब थी सफ़ेद गुलाबों वाले तालाब के बिल्कुल नज़दीक
बादलों की पहली आहट पर
उस ने रख दिए होंट होंटों पर
मौसीक़ी की तितली गीत गाने लगी
उस के साँसों के आस-पास
उस की ख़ुशबुओं के घुंघरू
बज रहे थे उस शब
हुआ की सफ़ेद गुलाबी छतों पर
वो उमड रही थी
एक तेज़ समुंदरी लहर की तरह
वो जिस्म पर नक़्श हो रही थी
तितलियों से भरे हुए एक ख़्वाब की तरह

वो एक शब सफ़ेद गुलाबों वाले तालाब के बिल्कुल नज़दीक
शब-भर बादलों की हल्की और तेज़ आहटें
और शब-भर
होंट होंटों पर
साँस साँसों पर
और जिस्म जिस्म की सफ़ेद गुलाबी छतों पर

  - Tabassum Kashmiri

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Tabassum Kashmiri

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari