darwaaze kya hote hain
kya darwaaze baahar jaane ke liye hain
ya sirf andar aane ke liye
darwaazon ka durust masraf samajhne se
falsafi qasir rahe
ham tamaam umr
in ki haqeeqat se na-aashnaa rahe
hamein ma'aloom na ho saka
aur darwaaze hamaare andar se khaariz ho gaye
ya shaayad
apne hi andar daakhil ho gaye
daakhil aur khaariz hone ki bahs jaari thi
ki darwaazon ko davaam baksha ja sake
lekin darwaazon ki khud-kushi se
mudaavamat ki maut waqe ho gai
दरवाज़े क्या होते हैं
क्या दरवाज़े बाहर जाने के लिए हैं
या सिर्फ़ अंदर आने के लिए
दरवाज़ों का दुरुस्त मसरफ़ समझने से
फ़लसफ़ी क़ासिर रहे
हम तमाम उम्र
इन की हक़ीक़त से ना-आश्ना रहे
हमें मा'लूम न हो सका
और दरवाज़े हमारे अंदर से ख़ारिज हो गए
या शायद
अपने ही अंदर दाख़िल हो गए
दाख़िल और ख़ारिज होने की बहस जारी थी
कि दरवाज़ों को दवाम बख़्शा जा सके
लेकिन दरवाज़ों की ख़ुद-कुशी से
मुदावमत की मौत वाक़े' हो गई
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Tabassum Zia
As you were reading Budhapa Shayari Shayari