goshe badal badal ke har ik raat kaat di
kacche makaan mein ab ke bhi barsaat kaat di
vo sar bhi kaat deta to hota na kuchh malaal
afsos ye hai us ne meri baat kaat di
dil bhi lahooluhaan hai aankhen bhi hain udaas
shaayad ana ne shah-rag-e-jazbaat kaat di
jab bhi hamein charaagh mayassar na aa saka
suraj ke zikr se shab-e-zulmaat kaat di
jaadugari ka khel adhoora hi rah gaya
darvesh ne shabeeh-e-tilismaat kaat di
haalaanki ham mile the badi muddaton ke ba'ad
auqaat ki kami ne mulaqaat kaat di
thandi hawaaein mahki fazaa narm chaandni
shab to bas ek thi jo tire saath kaat di
गोशे बदल बदल के हर इक रात काट दी
कच्चे मकाँ में अब के भी बरसात काट दी
वो सर भी काट देता तो होता न कुछ मलाल
अफ़्सोस ये है उस ने मिरी बात काट दी
दिल भी लहूलुहान है आँखें भी हैं उदास
शायद अना ने शह-रग-ए-जज़्बात काट दी
जब भी हमें चराग़ मयस्सर न आ सका
सूरज के ज़िक्र से शब-ए-ज़ुल्मात काट दी
जादूगरी का खेल अधूरा ही रह गया
दरवेश ने शबीह-ए-तिलिस्मात काट दी
हालाँकि हम मिले थे बड़ी मुद्दतों के बा'द
औक़ात की कमी ने मुलाक़ात काट दी
ठंडी हवाएँ महकी फ़ज़ा नर्म चाँदनी
शब तो बस एक थी जो तिरे सात काट दी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tahir Faraz
our suggestion based on Tahir Faraz
As you were reading Dil Shayari Shayari