tiri nazar mein tire dil mein ghar kiya jaaye
ab is khayal hi ko darguzar kiya jaaye
alaava ishq ke hai hi nahin zamaane mein
koi bhi kaam jise umr bhar kiya jaaye
jo wajh-e-sher thi vo nazm ho chuki kab ki
mere khayal tujhe kis ke sar kiya jaaye
nigaah-e-ghair se bhi dekhna kabhi khud ko
ye kaam sakht bahut hai magar kiya jaaye
khabar main koi bhi rakhta nahin hoon ab us ki
ab is khabar se use ba-khabar kiya jaaye
तिरी नज़र में तिरे दिल में घर किया जाए
अब इस ख़याल ही को दरगुज़र किया जाए
अलावा इश्क़ के है ही नहीं ज़माने में
कोई भी काम जिसे उम्र भर किया जाए
जो वज्ह-ए-शेर थी वो नज़्म हो चुकी कब की
मिरे ख़याल तुझे किस के सर किया जाए
निगाह-ए-ग़ैर से भी देखना कभी ख़ुद को
ये काम सख़्त बहुत है मगर किया जाए
ख़बर मैं कोई भी रखता नहीं हूँ अब उस की
अब इस ख़बर से उसे बा-ख़बर किया जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tahzeeb Abrar
our suggestion based on Tahzeeb Abrar
As you were reading Valentine Shayari Shayari