laga diya meri vehshat ne sab thikaane se
hawa to darti hai ab khaak tak udaane se
meri nazar se hua ik galat shikaar hai vo
ye teer chook gaya tha kabhi nishaane se
ye raqs us ki badaulat hai vahshaton ka yahan
vagarna kaun hai waqif mere thikaane se
talaashta tha bahaana vo qurb ka mere
jo chahta hai bichadna kisi bahaane se
wahi theharta hai unwaan kaavishon ka meri
main us ko laakh bhi rakhoon alag fasaane se
nazar ke hote hue kuchh nazar nahin aata
ye mas'ala hai kisi ke nazar na aane se
vo be-wafa bhi hai hissa isee zamaane ka
gila kiya nahin ye soch kar zamaane se
लगा दिया मिरी वहशत ने सब ठिकाने से
हवा तो डरती है अब ख़ाक तक उड़ाने से
मिरी नज़र से हुआ इक ग़लत शिकार है वो
ये तीर चूक गया था कभी निशाने से
ये रक़्स उस की बदौलत है वहशतों का यहाँ
वगर्ना कौन है वाक़िफ़ मिरे ठिकाने से
तलाशता था बहाना वो क़ुर्ब का मेरे
जो चाहता है बिछड़ना किसी बहाने से
वही ठहरता है उन्वान काविशों का मिरी
मैं उस को लाख भी रक्खूँ अलग फ़साने से
नज़र के होते हुए कुछ नज़र नहीं आता
ये मसअला है किसी के नज़र न आने से
वो बे-वफ़ा भी है हिस्सा इसी ज़माने का
गिला किया नहीं ये सोच कर ज़माने से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tahzeeb Abrar
our suggestion based on Tahzeeb Abrar
As you were reading Khushboo Shayari Shayari