gham-e-jaanaan jahaan likkha gaya hai | ग़म-ए-जानाँ जहाँ लिक्खा गया है

  - Tahzeeb Abrar

gham-e-jaanaan jahaan likkha gaya hai
wahin par raayegaan likkha gaya hai

jahaan aabaad hai yaadon ki basti
usi ko dast-e-jaan likkha gaya hai

sitam apnon ke zaahir ho gaye hain
mera dard-e-nihaan likkha gaya hai

main apne hi muqaddar mein nahin hoon
mujhe aakhir kahaan likkha gaya hai

tire qurbaan meri fikr-e-musibat
nahin likhna tha haan likkha gaya hai

vo meri khaamoshi se dar rahe hain
jinhen ahl-e-zabaan likkha gaya hai

sila ye tujh mein rahne ka hai shaayad
mujhe jo be-makaan likkha gaya hai

ग़म-ए-जानाँ जहाँ लिक्खा गया है
वहीं पर राएगाँ लिक्खा गया है

जहाँ आबाद है यादों की बस्ती
उसी को दश्त-ए-जाँ लिक्खा गया है

सितम अपनों के ज़ाहिर हो गए हैं
मिरा दर्द-ए-निहाँ लिक्खा गया है

मैं अपने ही मुक़द्दर में नहीं हूँ
मुझे आख़िर कहाँ लिक्खा गया है

तिरे क़ुर्बान मेरी फ़िक्र-ए-मुसबत
नहीं लिखना था हाँ लिक्खा गया है

वो मेरी ख़ामुशी से डर रहे हैं
जिन्हें अहल-ए-ज़बाँ लिक्खा गया है

सिला ये तुझ में रहने का है शायद
मुझे जो बे-मकाँ लिक्खा गया है

  - Tahzeeb Abrar

Shehar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tahzeeb Abrar

As you were reading Shayari by Tahzeeb Abrar

Similar Writers

our suggestion based on Tahzeeb Abrar

Similar Moods

As you were reading Shehar Shayari Shayari