mohabbaton ka yahi mas'ala nahin jaata
ham us se kaise kahein kya kaha nahin jaata
vo dard hai to mere dil se kyun nahin uthata
ye dard vo hai jo mujh se saha nahin jaata
ye kis jahaan ka naqsha diya gaya hai mujhe
ki us ki samt koi raasta nahin jaata
zara si main ne use khud mein kya jagah de di
ab apne aap mein us se raha nahin jaata
miyaan kabhi na kabhi dilbaraan ke kooche mein
mujhe batao zara kaun sa nahin jaata
ye zindagi bhi to phir zindagi nahin rahti
bichhad ke us se agarche mara nahin jaata
मोहब्बतों का यही मसअला नहीं जाता
हम उस से कैसे कहें क्या कहा नहीं जाता
वो दर्द है तो मिरे दिल से क्यूँ नहीं उठता
ये दर्द वो है जो मुझ से सहा नहीं जाता
ये किस जहान का नक़्शा दिया गया है मुझे
कि उस की सम्त कोई रास्ता नहीं जाता
ज़रा सी मैं ने उसे ख़ुद में क्या जगह दे दी
अब अपने आप में उस से रहा नहीं जाता
मियाँ कभी न कभी दिलबराँ के कूचे में
मुझे बताओ ज़रा कौन सा नहीं जाता
ये ज़िंदगी भी तो फिर ज़िंदगी नहीं रहती
बिछड़ के उस से अगरचे मरा नहीं जाता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tahzeeb Abrar
our suggestion based on Tahzeeb Abrar
As you were reading Zindagi Shayari Shayari