ajeeb khwaab tha us ke badan mein kaai thi | अजीब ख़्वाब था उस के बदन में काई थी

  - Tahzeeb Hafi

ajeeb khwaab tha us ke badan mein kaai thi
vo ik pari jo mujhe sabz karne aayi thi

vo ik charagh-kada jis mein kuchh nahin tha mera
jo jal rahi thi vo qindeel bhi paraai thi

na jaane kitne parindon ne is mein shirkat ki
kal ek ped ki taqreeb-e-roo-numaai thi

havaav aao mere gaav ki taraf dekho
jahaan ye ret hai pehle yahan taraai thi

kisi sipaah ne kheme laga diye hain wahan
jahaan pe main ne nishaani tiri dabaai thi

gale mila tha kabhi dukh bhare december se
mere vujood ke andar bhi dhund chhaai thi

अजीब ख़्वाब था उस के बदन में काई थी
वो इक परी जो मुझे सब्ज़ करने आई थी

वो इक चराग़-कदा जिस में कुछ नहीं था मिरा
जो जल रही थी वो क़िंदील भी पराई थी

न जाने कितने परिंदों ने इस में शिरकत की
कल एक पेड़ की तक़रीब-ए-रू-नुमाई थी

हवाव आओ मिरे गाँव की तरफ़ देखो
जहाँ ये रेत है पहले यहाँ तराई थी

किसी सिपाह ने ख़ेमे लगा दिए हैं वहाँ
जहाँ पे मैं ने निशानी तिरी दबाई थी

गले मिला था कभी दुख भरे दिसम्बर से
मिरे वजूद के अंदर भी धुँद छाई थी

  - Tahzeeb Hafi

Badan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tahzeeb Hafi

As you were reading Shayari by Tahzeeb Hafi

Similar Writers

our suggestion based on Tahzeeb Hafi

Similar Moods

As you were reading Badan Shayari Shayari