is ek dar se khwaab dekhta nahin
jo dekhta hoon main vo bhoolta nahin
kisi munder par koi diya jila
phir is ke baad kya hua pata nahin
main aa raha tha raaste main phool the
main ja raha hoon koi rokta nahin
tiri taraf chale to umr kat gai
ye aur baat raasta kata nahin
is azdahe ki aankh poochhti rahi
kisi ko khauf aa raha hai ya nahin
main in dinon hoon khud se itna be-khabar
main bujh chuka hoon aur mujhe pata nahin
ye ishq bhi ajab ki ek shakhs se
mujhe laga ki ho gaya hua nahin
इस एक डर से ख़्वाब देखता नहीं
जो देखता हूँ मैं वो भूलता नहीं
किसी मुंडेर पर कोई दिया जिला
फिर इस के बाद क्या हुआ पता नहीं
मैं आ रहा था रास्ते मैं फूल थे
मैं जा रहा हूँ कोई रोकता नहीं
तिरी तरफ़ चले तो उम्र कट गई
ये और बात रास्ता कटा नहीं
इस अज़दहे की आँख पूछती रही
किसी को ख़ौफ़ आ रहा है या नहीं
मैं इन दिनों हूँ ख़ुद से इतना बे-ख़बर
मैं बुझ चुका हूँ और मुझे पता नहीं
ये इश्क़ भी अजब कि एक शख़्स से
मुझे लगा कि हो गया हुआ नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tahzeeb Hafi
our suggestion based on Tahzeeb Hafi
As you were reading Nature Shayari Shayari