jab us ki tasveer banaya karta tha
kamra rangon se bhar jaaya karta tha
ped mujhe hasrat se dekha karte the
main jungle mein paani laaya karta tha
thak jaata tha baadal saaya karte karte
aur phir main baadal pe saaya karta tha
baitha rehta tha saahil pe saara din
dariya mujh se jaan chhudaaya karta tha
bint-e-sehra rootha karti thi mujh se
main sehra se ret churaaya karta tha
जब उस की तस्वीर बनाया करता था
कमरा रंगों से भर जाया करता था
पेड़ मुझे हसरत से देखा करते थे
मैं जंगल में पानी लाया करता था
थक जाता था बादल साया करते करते
और फिर मैं बादल पे साया करता था
बैठा रहता था साहिल पे सारा दिन
दरिया मुझ से जान छुड़ाया करता था
बिंत-ए-सहरा रूठा करती थी मुझ से
मैं सहरा से रेत चुराया करता था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tahzeeb Hafi
our suggestion based on Tahzeeb Hafi
As you were reading Dariya Shayari Shayari