na neend aur na khwaabon se aankh bharni hai
ki us se ham ne tujhe dekhne ki karne hai
kisi darakht ki hiddat mein din guzaarna hai
kisi charaagh ki chaanv mein raat karne hai
vo phool aur kisi shaakh par nahin khulna
vo zulf sirf mere haath se sanvarni hai
tamaam nakhuda saahil se door ho jaayen
samundron se akela mein baat karne hai
hamaare gaav ka har phool marne waala hai
ab us gali se vo khushboo nahin guzarni hai
tire ziyaan pe main apna ziyaan na kar baithoon
ki mujh mureed ka murshid uwais-qarni hai
न नींद और न ख़्वाबों से आँख भरनी है
कि उस से हम ने तुझे देखने की करनी है
किसी दरख़्त की हिद्दत में दिन गुज़ारना है
किसी चराग़ की छाँव में रात करनी है
वो फूल और किसी शाख़ पर नहीं खुलना
वो ज़ुल्फ़ सिर्फ़ मिरे हाथ से सँवरनी है
तमाम नाख़ुदा साहिल से दूर हो जाएँ
समुंदरों से अकेले में बात करनी है
हमारे गाँव का हर फूल मरने वाला है
अब उस गली से वो ख़ुश्बू नहीं गुज़रनी है
तिरे ज़ियाँ पे मैं अपना ज़ियाँ न कर बैठूँ
कि मुझ मुरीद का मुर्शिद 'उवैस-क़रनी' है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tahzeeb Hafi
our suggestion based on Tahzeeb Hafi
As you were reading Teacher Shayari Shayari