kuchh zaroorat se kam kiya gaya hai
tere jaane ka gham kiya gaya hai
ta-qayamat hare bhare rahenge
in darakhton pe dam kiya gaya hai
is liye raushni mein thandak hai
kuchh charaagon ko nam kiya gaya hai
kya ye kam hai ki aakhiri bosa
us jabeen par raqam kiya gaya hai
paaniyon ko bhi khwaab aane lage
ashk dariya mein zam kiya gaya hai
un ki aankhon ka tazkira kar ke
meri aankhon ko nam kiya gaya hai
dhool mein at gaye hain saare ghazaal
itni shiddat se ram kiya gaya hai
कुछ ज़रूरत से कम किया गया है
तेरे जाने का ग़म किया गया है
ता-क़यामत हरे भरे रहेंगे
इन दरख़्तों पे दम किया गया है
इस लिए रौशनी में ठंडक है
कुछ चराग़ों को नम किया गया है
क्या ये कम है कि आख़िरी बोसा
उस जबीं पर रक़म किया गया है
पानियों को भी ख़्वाब आने लगे
अश्क दरिया में ज़म किया गया है
उन की आँखों का तज़्किरा कर के
मेरी आँखों को नम किया गया है
धूल में अट गए हैं सारे ग़ज़ाल
इतनी शिद्दत से रम किया गया है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tahzeeb Hafi
our suggestion based on Tahzeeb Hafi
As you were reading Dard Shayari Shayari