khud pe jab dasht ki vehshat ko musallat karunga
is qadar khaak udaaunga qayamat karunga
hijr ki raat meri jaan ko aayi hui hai
bach gaya to main mohabbat ki mazammat karunga
jis ke saaye mein tujhe pehle pehal dekha tha
main isee ped ke neeche tiri bai'at karunga
ab tire raaz sambhaale nahin jaate mujh se
main kisi roz amaanat mein khayaanat karunga
teri yaadon ne agar haath bataaya mera
apne toote hue khwaabon ki marammat karunga
lailatul-qadr guzaarunga kisi jungle mein
noor barsega darakhton ki imaamat karunga
ख़ुद पे जब दश्त की वहशत को मुसल्लत करूँगा
इस क़दर ख़ाक उड़ाऊँगा क़यामत करूँगा
हिज्र की रात मिरी जान को आई हुई है
बच गया तो मैं मोहब्बत की मज़म्मत करूँगा
जिस के साए में तुझे पहले पहल देखा था
मैं इसी पेड़ के नीचे तिरी बै'अत करूँगा
अब तिरे राज़ सँभाले नहीं जाते मुझ से
मैं किसी रोज़ अमानत में ख़यानत करूँगा
तेरी यादों ने अगर हाथ बटाया मेरा
अपने टूटे हुए ख़्वाबों की मरम्मत करूँगा
लैलतुल-क़द्र गुज़ारूँगा किसी जंगल में
नूर बरसेगा दरख़्तों की इमामत करूँगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tahzeeb Hafi
our suggestion based on Tahzeeb Hafi
As you were reading Judai Shayari Shayari