sehra se aane waali hawaon mein ret hai | सहरा से आने वाली हवाओं में रेत है

  - Tahzeeb Hafi

sehra se aane waali hawaon mein ret hai
hijrat karunga gaav se gaav mein ret hai

ai qais tere dasht ko itni duaaein deen
kuchh bhi nahin hai meri duaon mein ret hai

sehra se ho ke baagh mein aaya hoon sair ko
haathon mein phool hain mere paanv mein ret hai

muddat se meri aankh mein ik khwaab hai muqeem
paani mein ped ped ki chaanv mein ret hai

mujh sa koi faqeer nahin hai ki jis ke paas
kashkol ret ka hai sadaaon mein ret hai

सहरा से आने वाली हवाओं में रेत है
हिजरत करूँगा गाँव से गाँव में रेत है

ऐ क़ैस तेरे दश्त को इतनी दुआएँ दीं
कुछ भी नहीं है मेरी दुआओं में रेत है

सहरा से हो के बाग़ में आया हूँ सैर को
हाथों में फूल हैं मिरे पाँव में रेत है

मुद्दत से मेरी आँख में इक ख़्वाब है मुक़ीम
पानी में पेड़ पेड़ की छाँव में रेत है

मुझ सा कोई फ़क़ीर नहीं है कि जिस के पास
कश्कोल रेत का है सदाओं में रेत है

  - Tahzeeb Hafi

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tahzeeb Hafi

As you were reading Shayari by Tahzeeb Hafi

Similar Writers

our suggestion based on Tahzeeb Hafi

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari