ik haveli hoon us ka dar bhi hoon
khud hi aangan khud hi shajar bhi hoon
apni masti mein bahta dariya hoon
main kinaara bhi hoon bhanwar bhi hoon
aasmaan aur zameen ki wus'at dekh
main idhar bhi hoon aur udhar bhi hoon
khud hi main khud ko likh raha hoon khat
aur main apna nama-bar bhi hoon
dastaan hoon main ik taveel magar
tu jo sun le to mukhtasar bhi hoon
ek faldar ped hoon lekin
waqt aane pe be-samar bhi hoon
इक हवेली हूँ उस का दर भी हूँ
ख़ुद ही आँगन ख़ुद ही शजर भी हूँ
अपनी मस्ती में बहता दरिया हूँ
मैं किनारा भी हूँ भँवर भी हूँ
आसमाँ और ज़मीं की वुसअत देख
मैं इधर भी हूँ और उधर भी हूँ
ख़ुद ही मैं ख़ुद को लिख रहा हूँ ख़त
और मैं अपना नामा-बर भी हूँ
दास्ताँ हूँ मैं इक तवील मगर
तू जो सुन ले तो मुख़्तसर भी हूँ
एक फलदार पेड़ हूँ लेकिन
वक़्त आने पे बे-समर भी हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tahzeeb Hafi
our suggestion based on Tahzeeb Hafi
As you were reading Dar Shayari Shayari