paraai aag pe roti nahin banaoonga
main bheeg jaaunga chhatri nahin banaoonga
agar khuda ne banaane ka ikhtiyaar diya
alam banaoonga barchi nahin banaoonga
fareb de ke tira jism jeet luun lekin
main ped kaat ke kashti nahin banaoonga
gali se koi bhi guzre to chaunk uthata hoon
naye makaan mein khidki nahin banaoonga
main dushmanon se agar jang jeet bhi jaaun
to un ki auratein qaaidi nahin banaoonga
tumhein pata to chale be-zabaan cheez ka dukh
main ab charaagh ki lau hi nahin banaoonga
main ek film banaoonga apne sarwat par
aur is mein rail ki patri nahin banaoonga
पराई आग पे रोटी नहीं बनाऊँगा
मैं भीग जाऊँगा छतरी नहीं बनाऊँगा
अगर ख़ुदा ने बनाने का इख़्तियार दिया
अलम बनाऊँगा बर्छी नहीं बनाऊँगा
फ़रेब दे के तिरा जिस्म जीत लूँ लेकिन
मैं पेड़ काट के कश्ती नहीं बनाऊँगा
गली से कोई भी गुज़रे तो चौंक उठता हूँ
नए मकान में खिड़की नहीं बनाऊँगा
मैं दुश्मनों से अगर जंग जीत भी जाऊँ
तो उन की औरतें क़ैदी नहीं बनाऊँगा
तुम्हें पता तो चले बे-ज़बान चीज़ का दुख
मैं अब चराग़ की लौ ही नहीं बनाऊँगा
मैं एक फ़िल्म बनाऊँगा अपने 'सरवत' पर
और इस में रेल की पटरी नहीं बनाऊँगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tahzeeb Hafi
our suggestion based on Tahzeeb Hafi
As you were reading Aah Shayari Shayari