cheekhte hain dar-o-deewar nahin hota main | चीख़ते हैं दर-ओ-दीवार नहीं होता मैं

  - Tahzeeb Hafi

cheekhte hain dar-o-deewar nahin hota main
aankh khulne pe bhi bedaar nahin hota main

khwaab karna ho safar karna ho ya rona ho
mujh mein khoobi hai bezaar nahin hota mein

ab bhala apne liye banna sanwarna kaisa
khud se milna ho to taiyyaar nahin hota main

kaun aayega bhala meri ayaadat ke liye
bas isee khauf se beemaar nahin hota main

manzil-e-ishq pe nikla to kaha raaste ne
har kisi ke liye hamvaar nahin hota main

teri tasveer se taskin nahin hoti mujhe
teri awaaz se sarshaar nahin hota main

log kahte hain main baarish ki tarah hoon haafi
akshar auqaat lagaataar nahin hota main

चीख़ते हैं दर-ओ-दीवार नहीं होता मैं
आँख खुलने पे भी बेदार नहीं होता मैं

ख़्वाब करना हो सफ़र करना हो या रोना हो
मुझ में ख़ूबी है बेज़ार नहीं होता में

अब भला अपने लिए बनना सँवरना कैसा
ख़ुद से मिलना हो तो तय्यार नहीं होता मैं

कौन आएगा भला मेरी अयादत के लिए
बस इसी ख़ौफ़ से बीमार नहीं होता मैं

मंज़िल-ए-इश्क़ पे निकला तो कहा रस्ते ने
हर किसी के लिए हमवार नहीं होता मैं

तेरी तस्वीर से तस्कीन नहीं होती मुझे
तेरी आवाज़ से सरशार नहीं होता मैं

लोग कहते हैं मैं बारिश की तरह हूँ 'हाफ़ी'
अक्सर औक़ात लगातार नहीं होता मैं

  - Tahzeeb Hafi

Travel Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tahzeeb Hafi

As you were reading Shayari by Tahzeeb Hafi

Similar Writers

our suggestion based on Tahzeeb Hafi

Similar Moods

As you were reading Travel Shayari Shayari