bichhad kar us ka dil lag bhi gaya to kya lagega
vo thak jaayega aur mere gale se aa lagega
main mushkil mein tumhaare kaam aaun ya na aaun
mujhe awaaz de lena tumhein achha lagega
main jis koshish se us ko bhool jaane mein laga hoon
ziyaada bhi agar lag jaaye to hafta lagega
mere haathon se lag kar phool mitti ho rahe hain
meri aankhon se dariya dekhna sehra lagega
mera dushman suna hai kal se bhooka lad raha hai
ye pehla teer us ko naashte mein ja lagega
kai din us ke bhi seharaaon mein guzre hain haafi
so is nisbat se aaina hamaara kya lagega
बिछड़ कर उस का दिल लग भी गया तो क्या लगेगा
वो थक जाएगा और मेरे गले से आ लगेगा
मैं मुश्किल में तुम्हारे काम आऊँ या न आऊँ
मुझे आवाज़ दे लेना तुम्हें अच्छा लगेगा
मैं जिस कोशिश से उस को भूल जाने में लगा हूँ
ज़ियादा भी अगर लग जाए तो हफ़्ता लगेगा
मिरे हाथों से लग कर फूल मिट्टी हो रहे हैं
मिरी आँखों से दरिया देखना सहरा लगेगा
मिरा दुश्मन सुना है कल से भूका लड़ रहा है
ये पहला तीर उस को नाश्ते में जा लगेगा
कई दिन उस के भी सहराओं में गुज़रे हैं 'हाफ़ी'
सो इस निस्बत से आईना हमारा क्या लगेगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tahzeeb Hafi
our suggestion based on Tahzeeb Hafi
As you were reading Protest Shayari Shayari