kise khabar hai ki umr bas us pe ghaur karne mein kat rahi hai | किसे ख़बर है कि उम्र बस उस पे ग़ौर करने में कट रही है

  - Tahzeeb Hafi

kise khabar hai ki umr bas us pe ghaur karne mein kat rahi hai
ki ye udaasi hamaare jismoon se kis khushi mein lipt rahi hai

ajeeb dukh hai ham us ke ho kar bhi us ko choone se dar rahe hain
ajeeb dukh hai hamaare hisse ki aag auron mein bat rahi hai

main us ko har roz bas yahi ek jhooth sunne ko phone karta
suno yahan koi mas'ala hai tumhaari awaaz kat rahi hai

mujh aise pedon ke sookhne aur sabz hone se kya kisi ko
ye bel shaayad kisi museebat mein hai jo mujh se lipt rahi hai

ye waqt aane pe apni aulaad apne ajdaad bech degi
jo fauj dushman ko apna saalar girvi rakh kar palat rahi hai

so is ta'alluq mein jo galat-fahmiyaan theen ab door ho rahi hain
ruki hui gaadiyon ke chalne ka waqt hai dhundh chhat rahi hai

किसे ख़बर है कि उम्र बस उस पे ग़ौर करने में कट रही है
कि ये उदासी हमारे जिस्मों से किस ख़ुशी में लिपट रही है

अजीब दुख है हम उस के हो कर भी उस को छूने से डर रहे हैं
अजीब दुख है हमारे हिस्से की आग औरों में बट रही है

मैं उस को हर रोज़ बस यही एक झूट सुनने को फ़ोन करता
सुनो यहाँ कोई मसअला है तुम्हारी आवाज़ कट रही है

मुझ ऐसे पेड़ों के सूखने और सब्ज़ होने से क्या किसी को
ये बेल शायद किसी मुसीबत में है जो मुझ से लिपट रही है

ये वक़्त आने पे अपनी औलाद अपने अज्दाद बेच देगी
जो फ़ौज दुश्मन को अपना सालार गिरवी रख कर पलट रही है

सो इस तअ'ल्लुक़ में जो ग़लत-फ़हमियाँ थीं अब दूर हो रही हैं
रुकी हुई गाड़ियों के चलने का वक़्त है धुंध छट रही है

  - Tahzeeb Hafi

Khushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tahzeeb Hafi

As you were reading Shayari by Tahzeeb Hafi

Similar Writers

our suggestion based on Tahzeeb Hafi

Similar Moods

As you were reading Khushi Shayari Shayari