zakhamon ne mujh mein darwaaze khole hain | ज़ख़्मों ने मुझ में दरवाज़े खोले हैं

  - Tahzeeb Hafi

zakhamon ne mujh mein darwaaze khole hain
main ne waqt se pehle taanke khole hain

baahar aane ki bhi sakat nahin ham mein
tu ne kis mausam mein pinjare khole hain

barson se aawaazen jamti jaati theen
khaamoshi ne kaan ke parde khole hain

kaun hamaari pyaas pe daaka daal gaya
kis ne mashkizon ke tasmee khole hain

warna dhoop ka parbat kis se katata tha
us ne chhatri khol ke raaste khole hain

ye mera pehla ramzaan tha us ke baghair
mat poocho kis munh se rozay khole hain

yun to mujh ko kitne khat mausool hue
ik do aise the jo dil se khole hain

mannat maanne waalon ko maaloom nahin
kis ne aa kar ped se dhaage khole hain

dariya band kiya hai kooze mein tahzeeb
ik chaabi se saare taale khole hain

ज़ख़्मों ने मुझ में दरवाज़े खोले हैं
मैं ने वक़्त से पहले टाँके खोले हैं

बाहर आने की भी सकत नहीं हम में
तू ने किस मौसम में पिंजरे खोले हैं

बरसों से आवाज़ें जमती जाती थीं
ख़ामोशी ने कान के पर्दे खोले हैं

कौन हमारी प्यास पे डाका डाल गया
किस ने मश्कीज़ों के तस्मे खोले हैं

वर्ना धूप का पर्बत किस से कटता था
उस ने छतरी खोल के रस्ते खोले हैं

ये मेरा पहला रमज़ान था उस के बग़ैर
मत पूछो किस मुँह से रोज़े खोले हैं

यूँ तो मुझ को कितने ख़त मौसूल हुए
इक दो ऐसे थे जो दिल से खोले हैं

मन्नत मानने वालों को मालूम नहीं
किस ने आ कर पेड़ से धागे खोले हैं

दरिया बंद किया है कूज़े में 'तहज़ीब'
इक चाबी से सारे ताले खोले हैं

  - Tahzeeb Hafi

Garmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tahzeeb Hafi

As you were reading Shayari by Tahzeeb Hafi

Similar Writers

our suggestion based on Tahzeeb Hafi

Similar Moods

As you were reading Garmi Shayari Shayari