qadam rakhta hai jab raston pe yaar aahista aahista
to chhat jaata hai sab gard-o-ghubaar aahista aahista
bhari aankhon se ho ke dil mein jaana sahal thodi hai
chadhe daryaon ko karte hain paar aahista aahista
nazar aata hai to yun dekhta jaata hoon main us ko
ki chal padta hai jaise kaarobaar aahista aahista
udhar kuchh auratein darwaazon par daudi hui aayein
idhar ghodon se utre shehsawaar aahista aahista
kisi din kaarkhaana-e-ghazal mein kaam niklega
palat aayenge sab be-rozgaar aahista aahista
tira paikar khuda ne bhi to furqat mein banaya tha
banaayega tire zewar sunaar aahista aahista
meri gosha-nasheeni ek din bazaar dekhegi
zaroorat kar rahi hai be-qaraar aahista aahista
क़दम रखता है जब रस्तों पे यार आहिस्ता आहिस्ता
तो छट जाता है सब गर्द-ओ-ग़ुबार आहिस्ता आहिस्ता
भरी आँखों से हो के दिल में जाना सहल थोड़ी है
चढ़े दरियाओं को करते हैं पार आहिस्ता आहिस्ता
नज़र आता है तो यूँ देखता जाता हूँ मैं उस को
कि चल पड़ता है जैसे कारोबार आहिस्ता आहिस्ता
उधर कुछ औरतें दरवाज़ों पर दौड़ी हुई आईं
इधर घोड़ों से उतरे शहसवार आहिस्ता आहिस्ता
किसी दिन कारख़ाना-ए-ग़ज़ल में काम निकलेगा
पलट आएँगे सब बे-रोज़गार आहिस्ता आहिस्ता
तिरा पैकर ख़ुदा ने भी तो फ़ुर्सत में बनाया था
बनाएगा तिरे ज़ेवर सुनार आहिस्ता आहिस्ता
मिरी गोशा-नशीनी एक दिन बाज़ार देखेगी
ज़रूरत कर रही है बे-क़रार आहिस्ता आहिस्ता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tahzeeb Hafi
our suggestion based on Tahzeeb Hafi
As you were reading Bhai Shayari Shayari