jab kisi ek ko rihaa kiya jaaye
sab asiroon se mashwara kiya jaaye
rah liya jaaye apne hone par
apne marne pe hausla kiya jaaye
ishq karne mein kya buraai hai
haan kiya jaaye baarha kiya jaaye
mera ik yaar sindh ke us paar
na-khudaon se raabta kiya jaaye
meri naqlein utaarne laga hai
aaine ka batao kya kiya jaaye
khaamoshi se lada hua ik ped
is se chal kar mukaalima kiya jaaye
जब किसी एक को रिहा किया जाए
सब असीरों से मशवरा किया जाए
रह लिया जाए अपने होने पर
अपने मरने पे हौसला किया जाए
इश्क़ करने में क्या बुराई है
हाँ किया जाए बारहा किया जाए
मेरा इक यार सिंध के उस पार
ना-ख़ुदाओं से राब्ता किया जाए
मेरी नक़लें उतारने लगा है
आईने का बताओ क्या किया जाए
ख़ामुशी से लदा हुआ इक पेड़
इस से चल कर मुकालिमा किया जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tahzeeb Hafi
our suggestion based on Tahzeeb Hafi
As you were reading Motivational Shayari in Hindi Shayari