buzdil hain to is raste se jaate hi nahin hain | बुज़दिल हैं तो इस रस्ते से जाते ही नहीं हैं

  - Ananth Faani

buzdil hain to is raste se jaate hi nahin hain
ham aapko tu kah ke bulaate hi nahin hain

kheenchoge jo dhaaga to udhad jaayega saara
ham log tabhi haal bataate hi nahin hain

zinda nazar aane kii numaaish pe na jaao
ham marte hain har waqt dikhaate hi nahin hain

is shehar ke bachchon ko kahein kuchh to kahein kya
alfaaz inhen koii bhi aate hi nahin hain

is ghar kii safaai mein bahut kaam hai faani
aur aap hain jo haath bantaate hi nahin hain

बुज़दिल हैं तो इस रस्ते से जाते ही नहीं हैं
हम आपको तू कह के बुलाते ही नहीं हैं

खींचोगे जो धागा तो उधड़ जाएगा सारा
हम लोग तभी हाल बताते ही नहीं हैं

ज़िंदा नज़र आने की नुमाइश पे न जाओ
हम मरते हैं हर वक़्त दिखाते ही नहीं हैं

इस शहर के बच्चों को कहें कुछ तो कहें क्या
अल्फ़ाज़ इन्हें कोई भी आते ही नहीं हैं

इस घर की सफ़ाई में बहुत काम है 'फ़ानी'
और आप हैं जो हाथ बँटाते ही नहीं हैं

  - Ananth Faani

More by Ananth Faani

As you were reading Shayari by Ananth Faani

Similar Writers

our suggestion based on Ananth Faani

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari