kabhi lagta hai un par main inaayat kyun nahin karta | कभी लगता है उन पर मैं इनायत क्यों नहीं करता

  - Haider Khan

kabhi lagta hai un par main inaayat kyun nahin karta
unhin ki tarah un se main mohabbat kyun nahin karta

mohabbat hai agar badhkar zamaane se tujhe to phir
jahaan ki bandishon se tu bagaavat kyun nahin karta

agar tujhko khuda ne dastaras di hai mere dil par
to phir is saltanat par tu hukumat kyun nahin karta

kabhi tum aaine mein khud ko dekhoge to samjhoge
tumhaari ik jhalak par dil qana'at kyun nahin karta

tapish mein jab koi saaya mila to ye samajh aaya
tumhaare dil se koi shakhs hijrat kyun nahin karta

kisi ko tu ne apni zindagi se gar nikala hai
to uski yaad ko bhi dil se ruksat kyun nahin karta

use mujhse yahi shikwa hai mujhse vo ye kehta hai
shikaayat bhi kiya kar tu shikaayat kyun nahin karta

bade mayus baithe hain sabhi qismat ko le kar ke
agar haasil hai karna kuchh to mehnat kyun nahin karta

bichhadne par agar afsos hota hai tujhe to phir
kabhi jeete jee us insaan ki izzat kyun nahin karta

abhi haider mere sar par hai ik dast-e-karam maa ka
tumhein aur kya wajah doon ke main hasrat kyun nahin karta

कभी लगता है उन पर मैं इनायत क्यों नहीं करता
उन्हीं की तरह उन से मैं मोहब्बत क्यों नहीं करता

मोहब्बत है अगर बढ़कर ज़माने से तुझे तो फिर
जहाँ की बंदिशों से तू बग़ावत क्यों नहीं करता

अगर तुझको ख़ुदा ने दस्तरस दी है मेरे दिल पर
तो फिर इस सल्तनत पर तू हुक़ूमत क्यों नहीं करता

कभी तुम आइने में ख़ुद को देखोगे तो समझोगे
तुम्हारी इक झलक पर दिल क़नाअ'त क्यों नहीं करता

तपिश में जब कोई साया मिला तो ये समझ आया
तुम्हारे दिल से कोई शख़्स हिजरत क्यों नहीं करता

किसी को तू ने अपनी ज़िन्दगी से गर निकाला है
तो उसकी याद को भी दिल से रुख़्सत क्यों नहीं करता

उसे मुझसे यही शिकवा है, मुझसे वो ये कहता है
शिकायत भी किया कर तू शिकायत क्यों नहीं करता

बड़े मायूस बैठे हैं सभी क़िस्मत को ले कर के
अगर हासिल है करना कुछ तो मेहनत क्यों नहीं करता

बिछड़ने पर अगर अफ़सोस होता है तुझे तो फिर
कभी जीते जी उस इंसाँ की इज्ज़त क्यों नहीं करता

अभी "हैदर" मेरे सर पर है इक दस्त-ए-करम माँ का
तुम्हें और क्या वजह दूँ के मैं हसरत क्यों नहीं करता

  - Haider Khan

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haider Khan

As you were reading Shayari by Haider Khan

Similar Writers

our suggestion based on Haider Khan

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari