khafa hue ho jo mujhse tum to khata bhi meri bataate jaana | ख़फ़ा हुए हो जो मुझसे तुम तो ख़ता भी मेरी बताते जाना - Haider Khan

khafa hue ho jo mujhse tum to khata bhi meri bataate jaana
agar khata hai meri to phir tum saza bhi mujhko sunaate jaana

meri udaasi alag jagah hai meri koi fikr tum na karna
ye iltijaa hai ki jaate jaate zara sa tum muskuraate jaana

ye khaamoshi cheekhti rahegi ki ye ta'alluq na todna par
tumhaari marzi jo ja rahe ho to phir mujhe bhi bhulaate jaana

jo khwaab toote to kya gila ho ye waqt bhi beet jaayega kal
ye hai guzarish ki jaate jaate mujhe bhi yaara mitaate jaana

ख़फ़ा हुए हो जो मुझसे तुम तो ख़ता भी मेरी बताते जाना
अगर ख़ता है मेरी तो फिर तुम सज़ा भी मुझको सुनाते जाना

मेरी उदासी अलग जगह है मेरी कोई फ़िक्र तुम न करना
ये इल्तिजा है कि जाते जाते ज़रा सा तुम मुस्कुराते जाना

ये ख़ामुशी चीखती रहेगी कि ये तअ'ल्लुक़ न तोड़ना पर
तुम्हारी मर्ज़ी जो जा रहे हो तो फिर मुझे भी भुलाते जाना

जो ख्वाब टूटे तो क्या गिला हो ये वक्त भी बीत जाएगा कल
ये है गुज़ारिश कि जाते जाते मुझे भी यारा मिटाते जाना

- Haider Khan
1 Like

Bahana Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haider Khan

As you were reading Shayari by Haider Khan

Similar Writers

our suggestion based on Haider Khan

Similar Moods

As you were reading Bahana Shayari Shayari