naye sapne sajaane mein zamaane beet jaate hain | नए सपने सजाने में ज़माने बीत जाते हैं

  - Haider Khan

naye sapne sajaane mein zamaane beet jaate hain
kisi manzil ko paane mein zamaane beet jaate hain

jise dil mein basaane mein zara sa waqt lagta hai
use dil se bhulaane mein zamaane beet jaate hain

ye dil majboor hota hai to patthar ban hi jaata hai
ise phir dil banaane mein zamaane beet jaate hai

koi jab rooth jaaye to use jhat se manaa loge
magar khud ko manaane mein zamaane beet jaate hain

bharose ka jo toota sa mahal lekar bichhadta hai
use waapas bulane mein zamaane beet jaate hain

koi vaada jo karna ho to phir ik pal nahin lagta
magar vaade nibhaane mein zamaane beet jaate hain

नए सपने सजाने में ज़माने बीत जाते हैं
किसी मंज़िल को पाने में ज़माने बीत जाते हैं

जिसे दिल में बसाने में ज़रा सा वक्त लगता है
उसे दिल से भुलाने में ज़माने बीत जाते हैं

ये दिल मजबूर होता है तो पत्थर बन ही जाता है
इसे फिर दिल बनाने में ज़माने बीत जाते है

कोई जब रूठ जाए तो उसे झट से मना लोगे
मगर खुद को मनाने में ज़माने बीत जाते हैं

भरोसे का जो टूटा सा महल लेकर बिछड़ता है
उसे वापस बुलाने में ज़माने बीत जाते हैं

कोई वादा जो करना हो तो फिर इक पल नहीं लगता
मगर वादे निभाने में ज़माने बीत जाते हैं

  - Haider Khan

Promise Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haider Khan

As you were reading Shayari by Haider Khan

Similar Writers

our suggestion based on Haider Khan

Similar Moods

As you were reading Promise Shayari Shayari